Hum Pe Bhi Nazr-e-Karam Ho Aye Shahidon Ke Imam

हम पे भी नज़र-ए-करम हो ऐ शहीदों के इमाम / Hum Pe Bhi Nazr-e-Karam Ho Aye Shahidon Ke Imam
हम पे भी नज़र-ए-करम हो, ऐ शहीदों के इमाम !
दस्त-बस्ता बा-अदब करते हैं हम तुम को सलाम

वक़्त-ए-मग़रिब जब फ़लक पर सुर्ख़ियाँ छाने लगी
मेरे दिल को कर्बला की याद तड़पाने लगी

हम पे भी नज़र-ए-करम हो, ऐ शहीदों के इमाम !
दस्त-बस्ता बा-अदब करते हैं हम तुम को सलाम

तीर और तलवारों के साए में की रब की सना
देखो देखो इस को कहते हैं मोहब्बत की अदा

हम पे भी नज़र-ए-करम हो, ऐ शहीदों के इमाम !
दस्त-बस्ता बा-अदब करते हैं हम तुम को सलाम

चाँद जब दसवीं मुहर्रम का नज़र आने लगा
दिल का हर इक ज़ख़्म आँखों में उतर आने लगा

हम पे भी नज़र-ए-करम हो, ऐ शहीदों के इमाम !
दस्त-बस्ता बा-अदब करते हैं हम तुम को सलाम

आप अपने ग़म में मुझ को आज ही कर दें फ़ना
क्या ख़बर कब जिस्म से ये जान कर जाए वफ़ा

हम पे भी नज़र-ए-करम हो, ऐ शहीदों के इमाम !
दस्त-बस्ता बा-अदब करते हैं हम तुम को सलाम

तेरा हर इक ग़म मिटा देगी ये सच्ची दास्ताँ
ऐ रिफ़ा’ई ! देख पढ़ कर कर्बला की दास्ताँ

हम पे भी नज़र-ए-करम हो, ऐ शहीदों के इमाम !
दस्त-बस्ता बा-अदब करते हैं हम तुम को सलाम

ना’त-ख़्वाँ:
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी

ham pe bhi nazr-e-karam ho, ai shaheedo.n ke imaam !
dast-basta baa-adab karte hai.n ham tum ko salaam

waqt-e-maGrib jab falak par surKHiyaa.n chhaane lagi
mere dil ko karbala ki yaad ta.Dpaane lagi

ham pe bhi nazr-e-karam ho, ai shaheedo.n ke imaam !
dast-basta baa-adab karte hai.n ham tum ko salaam

teer aur talwaaro.n ke saae me.n ki rab ki sana
dekho dekho is ko kehte hai.n mohabbat ki ada

ham pe bhi nazr-e-karam ho, ai shaheedo.n ke imaam !
dast-basta baa-adab karte hai.n ham tum ko salaam

chaand jab daswee.n muharram ka nazar aane laga
dil ka har ik zaKHm aankho.n me.n utar aane laga

ham pe bhi nazr-e-karam ho, ai shaheedo.n ke imaam !
dast-basta baa-adab karte hai.n ham tum ko salaam

aap apne Gam me.n mujh ko aaj hi kar de.n fana
kya KHabar kab jism se ye jaan kar jaae wafa

ham pe bhi nazr-e-karam ho, ai shaheedo.n ke imaam !
dast-basta baa-adab karte hai.n ham tum ko salaam

tera har ik Gam miTa degi ye sachchi daastaa.n
ai Rifaa’i ! dekh pa.Dh kar karbala ki daastaa.n

ham pe bhi nazr-e-karam ho, ai shaheedo.n ke imaam !
dast-basta baa-adab karte hai.n ham tum ko salaam

Naat-Khwaan:
Ghulam Mustafa Qadri

Leave a Comment