Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega
Shaad Har Naa Kaam Ho Hee Jaayega
Jaan De Do Wa’da e Deedar Par
Naqd Apna Daam Ho Hee Jaayega
Shaad Hai Firdaus Yaa’ni Aik Din
Qismat e Khud’daam Ho Hee Jaayega
Yaad Reh Jaayengi Ye Be-Baakiyaañ
Nafs Tu To Raam Ho Hee Jaayega
Be Nishaano Ka Nishaañ Mit’t-ta Nahiñ
Mit’t-te, Mit’t-te, Naam Ho Hee Jaayega
Yaad e Gaisoo Zikr e Haq Hai Aah Kar
Dil Me Paida Laam Ho Hee Jaayega
Aik Din Aawaaz Badlenge Ye Saaz
Cheh-chaha Kohraam Ho Hee Jaayega
Saa-ilo Daaman Sakhi Ka Thaam Lo
Kuch Na Kuch In’aam Ho Hee Jaayega
Yaad e Abru Kar Ke Tar’po Bulbulo!
Tukre-Tukre Daam Ho Hee Jaayega
Mufliso Unki Gali Me Jaa Paro
Baagh e Khuld Ikraam Ho Hee Jaayega
Gar Yuñhi Rahmat Ki Taaweeleñ Raheñ
Madh Har Ilzaam Ho Hee Jaayega
Baadah Khwaari Ka Samaañ Bandhne To Do
Shaykh e Durd Aashaam Ho Hee Jaayega
Gham To Unko Bhool Kar Lipta Haiñ Yuñ
Jaise Apna Kaam Ho Hee Jaayega
Mit’t Ke Gar Yuñhi Raha Qarz e Hayaat
Jaan Ka Neelaam Ho Hee Jaayega
Aaqilo! Unki Nazar Seedhi Rahe
Bawroñ Ka Bhi Kaam Ho Hee Jaayega
Ab To Laa-ee He Shafa’at Afw Par
Barhte-Barhte Aam Ho Hee Jaayega
Ay RAZA Har Kaam Ka Aik Waqt Hai
Dil Ko Bhi Aaraam Ho Hee Jaayega