Taajdaar e Haram aye shahenshah e dee.n
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Ho nigaahain karm ham pe sultan e dee.n
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Door rahe kar na dam toot jaa.aen kahin
Kaash taiba ho mere maah e mubee,n
Dafn hone ko mil jaa,aen do gaz zamee,
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Koi husn e amal paas mere nahin
Fans na jaa.aun qayamat main maula kahin
Aye shafee.a, aye aumam laajh rakhna tumhin
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Teri yaadon se mamoor seena rahain
Lab pe har dam Madina Madina rahai
Bas main deewana ban jaa.aun sultan e dee.n
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Fikr e ummat main raaton ko rote rahen
Aasiyon ke gunaahon ko dhote rahen
Tum pe qurbaan jaa.aon Mere mah-jabee,n
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Ab madine mainham ko bula leejiae
Aur seena madina bana deejiae
Az pa,ae-ghaus e aazam, Imam e mubee.n
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Donon aalam main koi bhi tum sa nahin
Sab hasinon se badh kar ke tum ho hasee.n
Qaasim e Rizq e Rabbul ula ho tumhin
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Zoolm, kuffar hans se sahete rahain
Phir bhi har aan haq baat kahete rahain
Kitni mahenat se ki tumne tableegh e dee.n
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Maut ke waqt kardo nigaagain karam
Kaash is shan se ye nikal jaa.ae dam
Sang e dar par tumhare ho meri jabin
Tum pe har dam karodon duroodon salaam
Ab bulalo madine main “Attar” ko
Apne qadmon main rakh lo gunah gaar ko
Koi iske siva aarzu hi nahin
Tum pe har dam karodon duroodon salaam