Toote hue dilon ka sahara Hussain hai
Doobe na jo falak pe woh taara Hussain hai.
Ahl-e-khirad samajh na sake kya Hussain hai,
Nana ke jism-e-paak ka saaya Hussain hai.
Hokar shaheed zindagi-e-jaavedaan mili,
Zinda tha, aur aaj bhi zinda Hussain hai.
Jannat ke kul Sayyid-e-Kawnain ke liye,
Aur Fatima ki aankh ka taara Hussain hai.
Yeh bhi khayaal tumko na aaya Yazidiyo,
Sarkar-e-do jahan ka nawasa Hussain hai.
Emaan aur kufr mein nisbat nahin koi,
Duniya hai raat aur savera Hussain hai.
Bazm-e-Rasool-e-Paak mein dekha hai “Raaz” ne,
Sarkar hain charaagh aur ujaala Hussain hai.